सोमवार, 30 अगस्त 2010

वही धूमकेतु जो डाय -नासौरस के विनाश की वजह बने सेब के विकास को नै दिशा दे गए ...

कोस्मिक कोलिज़न देट किल्ड डाय -नोज़ गेव बर्थ टू ?(दी टाइम्स ऑफ़ india ,अगस्त ३०, २०१०)।
डिकोडिंग ऑफ़ एपिल जीनोम सजेस्ट्स कोमेट स्ट्राइक ६५ मिलियन ईयर्स एगो फोर्स्ड प्लांट टू इवोल्व for survival.
saains daanon ke mutaabik ab se takreeban 6.5 karod baras pahle ek taraf pri -thvi se kisi dhoomketu ke aatakraane ki vajah se bhimkaay daay -nausaras kaa safaayaa ho gyaa thaa ,vahin doosri tarf ek shrub ne apne vikaash ki dishaa apne astitv ko banaaye rkhne ke liye badal li .aage jaa kar yahi jhaadi numaa paadap ek vriksh me tabdeel ho gyaa jise ham "Apple"yaa seb ke roop me jaanten hain .jabki svaad me,dekhne me , yah strawberry aur Raspberry padapon ke nazdeek thaa .
DNA tathaa jeens ki poori sanrchnaa aur kram kaa is saptaah khulaasaa huaa hai jis se ptaa chlaa ,ek aanuvanshik raddobadal ke tahat is paadap me ek ke sthaan par do do jivan- ikaaiyaaan panapne lgin aur chhotaa saa paudhaa apne sahodaron se chhitkar ek bhare poore vriksh me tabdeel hogyaa .jeens ke baahulay ne ise visham maahaul me banaaye rkhaa .is ke fal bhi aakaar me bade ho gye . takreeban is paadap ne apne harek jinom ko dupliket kar liyaa .
epil jinom me DNA ke 60 karod bes peyars kaa ptaa chlaa hai .inkaa pooraa kram khngaalaa gyaa hai .

कोई टिप्पणी नहीं: